Maqrooz kay bigray hue halaat ki maanind,

Posted: March 13th, 2010 | Author: | Filed under: Broken Heart SMS, Ghazal SMS | Comments Off

Maqrooz kay bigray hue halaat ki maanind,
Majboor kay honton pe sawalaat ki maanind,

Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hai,
Selaab se barbaad makanaat ki maanind,

Mein un mein bhatakte hue jugnu ki tara hun,
Us shakhs ki aankhein hain kisi raat ki maanind,

Dil roz sajata hun mein dulhan ki tara say,
Gham roz chalay ate hain baraat ki maanind,

Ab yeh bhi nhi yaad k kya naam tha us ka,
Jis shakhs ko manga tha manajaat ki maanind,

Kis darja muqaddas hai tere qurb ki khwahish,
Masoom se bachay k khyalat ki maanind,

Us shakhs se milna mera mumkin hi nhi tha,
Mein pyas ka sehra hun wo barsaat ki maanind…

——————————–


Comments are closed.