Khali kaghaz pe harf sjaya karta tha

Posted: June 28th, 2010 | Author: | Filed under: Broken Heart SMS | Tags: , , | Comments Off

Khali kaghaz pe harf sjaya karta tha,
Tanhai mein shehar bsaya karta tha,

Kesa pagal shakhs tha sari sari raat,
Deewaron ko dard sunaya karta tha,

Ro deta tha ap hi apni baton par,
Or phir khud ko ap hansaya karta tha,

Jalne lagti lahu mein judai to ro deta,
Tanhaiyon ki khak uraya karta tha,

Yaro be waqt hua pyar usay lay duba,
Jo logon ko pyar k gur sikhaya karta tha,

——————-
Collection of Broken heart Messages by ZAText.Com